Online Book Club Mumbai 1

Book club July 19 ,2020
Online Book Club Mumbai -1
Age 7-9 yrs
Book – Shree Swami Satyanand ji


Book club
Baachon ne Prabhuji ke sath connect hone ki practise kari aur share kiya ki humne sab time unko apne sath rakha,kisi ne jaap kiya aur ek pyari se baacho boli aunty meine bath lete time bhi Ramji ko yaad kiya .

Baachon ne jana swamji maharaj shri adhyatmik guru hai .adhyatmik hone ka matlab hai atma ko janna .atma ke gunno ko janna aur usko dharan karke hamesha ke liye kush rahena..soul ki Kya qualities hai jaise ki anandmay ,happy rahena,positive rahena,shantrahena. Prabhuji humahare andar hai in the form of soul tabhi jo qualities Prabhu mein hai woh humhare andar hai ..bas humhare karamo se chup jati hai..

Baachon ne jaana atma kabhi nahi marti Shreer marta hai body nahi raheti but soul hamesha raheti hai ..isliye swamji maharaji ne Prabhu ko soul ki form mein bataya hai kisi roop mein nahi…teeno gurujan soul form mei hamesha humare sath rahte hai.

Baachon ne share kiya saachi shradha ka matlab hot hai vishwas…ek baachi boli humhe maharaji par pura vishwas hai..baachon ne jana sab mein maharaji ko dekhna sab mein Ramji ko dekhna aur sab ke sath ek jaisa rahena…ekbaacha bola aunty kaise ..kyunki sab mein soul hai aur Ramji ki form Kya hai soul isliye sab mein Ramji hai..

Baachon ne jab maharaj ji ki janam tithi padi usme poornima likha tha toh ek baacha bola humne guru poornima par guruji ki pooja kari aur push arpit kare…
Yahan baacho ne jana maharaj ji guru poornima par kaha karte yeh din thankyou karne ka din aur jo bhi humhe swami ji maharaji ne diya aur sikhaya usko aapne jiwan mein utarne ka aur unko yaad karke practise karna chaiye. Ek bacha bola unhone humhe sadhak banaya isliye unko thankyou..

Baacho ne bataya challenges humhe strong banate hai..Prabhu toh humhare se prem ke siwa kuch bhi nahi karte..baachon ne jana Maharaji kaha karte parmatma ki dictionary mein prem ke sevaye aur koi sabh nahi hai..

Sab humhare karam hai jo phle se chale aa rahe hai…humhe ye body kisliye di ki hum bad karmas ko finish karke aur good karmas add karsake..

Baachon ne kaha sab mein Ramji hai isliye hum sabko pyaar aur aadar denge..

Prabhu ji ke shreecharno mein mera koti koti pranam..

( Thanks so much Radhika ji )

Leave a comment